Tuesday, April 11, 2006

Mat muskurao itna ki,
Phoolon ko khabar lag jaye,
Aur kare wo tumhari tareef,
Aur tumhe nazar lag jaye.


Mera ikraar tere inkaar se behatar hoga,
Mera din bhi teri raat se behtar hoga,
Yakeen nahin to dolee se jhankke dekhna,
Mera janazaa teri baaraat se behatar hoga.


Jam tootne ka bahana na kar,
Hum teri aankhon se pee lenge,
Tu aa ya na aa aane ka vaada to kar,
Hum teri intzar me hi jee lenge.


Jasie taro ke saath aakash he,
Vaise sache pyar ke saath vishwaas he,
Dil ke mazaro se dhundoge agar ,
To hum har waqt aapke paas he.


Ek roshni ki aas par aye kidhar se hum,
Kuch bhi na le sakay tere noor-e-sahar se hum,
Ek ajnabi ne ki thi nigahon se baat,
Nikle nahi ab talak us ka asar se hum.
Apni yaadon me hum tumhe basana chahte hai,
Apne paas tumhe hum bulana chahte hai,
Thak gaye hum tumhe yaad karte karte,
Ab hum tumhe yaad aana chahte Hai.
Aaj bhi uski nazroo me raaz wahi tha,
Chehra wahi tha aur Chehre ka nakaab wahi tha.
Kaise use bewafa kahu,
Aaj bhi uske dekhne ka aandaz wahi tha.
Badi mehnat se meri duniya lutai hogi,
Meri mohabbat ki hansti mitai hogi,
La tere pairo me marhum laga dun ,
Mere dil ko thoker marne me chot to aai hogi.
Ab tum mil hi gaye to saath nibhana;
Haath chudake zindagi main tum chale na jaana;
Yeh na samajhna ke tum chale gaye to hum mar jayenge;
Teri yaadon ke sahare, tere intezar main hum baki jindagi bitayenge.

No comments: