Sunday, April 16, 2006

Pyar Karnewalon ki kismat kharaab hoti hai,
Har waqt inteha ki ghadi saath hoti hai,
Waqt mile to rishto ki kitaab khol ke dekh lena,
Dosti har rishtey se lajawab hoti ha.


Kisi Ko Apni Khoobion Ka Ehsaas Nahin Hota
Aap Jaisa Dostoon Ka Milna Itifaaq Nahin Hota
Achha Kuch Kia HoGa Hum Ne
Warna Aap Ho Sath Humaray Yeh Yaqeen Nahin Hota .


Ddil mein tumhare apni kami chod jayenge,
Aakho mein intezar ki lakir chod jayenge,
Yaad rakhna muje dhoondte firoge,
Ek din zindagi mein aise dost kami chod jayenge!!


Gujare hai hum is mukaam se,
Nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se
Hum woh nahi jo jindagi rokar gujaar de
Parchai bhi ho uski toh thokar maar de !!!



Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
Kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
Lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
Gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
Kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi...


Ek hi raah ko umar bhar dekhna,
Koi aaye na aaye fir bhe dekhna.
Tum hume dekh kar kho gaye soch mai,
Ab dobara hume soch kar dekhna.
Tera palken jhukana humai dekh kar,
Phir idhar dekhna phir udhar dekhna.
Tujhse seekha hai furqat ki her shab mai,
Chaand ko raat bhar jaag kar dekhna.
Ishq mai tootnay ka alag lutf hai,
Tum kabhi ishq mai toot kar dekhna..
Sari umar ankho me ek sapna yaad raha,
Sadiyan beet gayi jisme wo lamha yaad raha,
Na jane kya baat thi unme,
Sari mehfil bhul gaye bus wo hi ek chahra yaad raha...


Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai,
Jab koi apna mil kar nazron se door hota hai.
Kyun roti hai kambakht yeh ankhe,
Kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota ha.


Ban sahara be-saharo ke liye,
Ban kinara be-kinaro ke liye,
Jo jeeye apne liye toh kya jeeye,
Jee sakke toh jee hazaro ke liye!!


Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho,
Zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho,
Kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai,
Zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho..


Yaado main kabhi aap bhi khoye hoge,
Khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge,
Maana hasna ada hai ghum chupaane ki,
Par haste haste kabhi aap bhi roye hoge..


Dosti ka haq Hum ada yun karte hai.
Tere naam pe ye jaan fida hum karte hain.
Tujhko phool ka bhi Zakhm na Aane paaye
Hum khuda se yehi duaa karte hai.


Zindagai ki raaah me bahot se yaar milenge,
Hum kya....humse bhi achche hazaar milenge,
In acchchonki beed me hume bhula mat dena,
Hum kahan tumhe baaar baar milenge.
Phir se dil dukhane ye raat aaye
Teri yaad ye saath aaye
Aaso bankee ye aakhon mein chaye
Aakhein subah tak so na paaye
Yaad mujhe ab naa aa. .
Dil tadpane naa aaJaa too Mujhee na kabhi yaad aa..
Tu mere jaane ke baad aa...


EK DIL MERE DIL KO ZAKHM DE GAYA,
ZINDAGI BHAR NA MILNE KI KASAM DE GAYA,
LAKH PHULON ME EK PHOOL KO CHUA THA HAMNE,
JO KAANTO SE BHI GEHRI CHUBHAN DE GAYA.


TANHA HO KABHI TO MUJHE DHOONDH LENA,
IS DUNIA SE NAHI APNE DIL SE PUCH LENA,
APKE AS PAS HI KAHI REHTE HAIN HUM,
YADO SE NAHI TO SATH GUZARE LAMHO SE POOCH LENA.


Maine kaha aaj jo chaahe maang lo siwaay jaan ke
Usne mere aansoo maange aur rakhe sambhaal ke
Maine use kabhie kuchh na diya, bahaane hazaar the
Usne mujhe aaj phool bhi diye toe kaante nikaal ke


Ishq-Vishq kuch nahinBas bhavnaoN ki andhi hai
Tum usmaiN mat beh jana dost
Abhi zindagi bahut baki hai
Dua hai - waqt tujhe aage le jaye
OR MERE SATH MERA SAKI HAI!!!!


Agar zindagi me judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to,
Shayad rishton me yeh gehrai na hoti.


Saath saath chal rahe thhe hum apni manzil ki aur,
Kyun chhod diya saath jab manzil thhi apni aur,
Woh pal do pal ki khushiyan bitai hum ne aapke saath,
Woh aaj hansate hai hume yeh jankar bhi aap nahi humare saath.


Aankh se gira aansu koi utha nahi sakta.,
Kisamt main likha koi mita nahi sakta.
App to hamare dil main hon,
or is dilko humse koi chura nahi sakta.


Ye Mohabbat hai...
.Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai,
zindagi ka har mod asan nahin hota,
kadam kadam par mushile hoti hain.
..phir jab hum zindagi ka saath nahin chodte
toh phir mohabbat ka saath kaise chood de ???


Door jake bhi tujhse door ja na sake
kitna roye kisi ko bata na sake
gum ye nhi ki tumhe pa na sake
gum sirf itna hai ki tumhe bata na sake....


Kabhi socha nahi tha tumhare baare mein,
par tum ne ab sochne par majboor kiya hai..
Tum ne bina kahe, her harkat mein,
apne pyar ka izhaar kiya hai...
Par... maine, itna kehne ke baad bhi kabhi kuch kaha nahi,
aur tere ishaaron ko samajh kar bhi nazarandaaz kiya hai !!!


Aahk se aasu kabhi girne na paye,
na dard ho aapko na kabhi chot aaye,
mere hisse mein khushiya jyada to nahi,
par rab kare wo bhi aapko mil jaye.


jin raton me chehra tha unka,
wo khamosh raaten jeena chahta hun.jin baaton me naam tha unka,
un shabdon ko sunna chahta hun. dhadkane aaj bhi chalti hain humari,
lekar naam unka khamoshi se.hosh me rehne ka aalam kuch aur hai,
par darte hain madhoshi se.ab to dekhte hain unka chehra hardum,
khokar unki yaadon me.maanga kitni baar khuda se,
bass unko apni fariyaadon me.aata hai wo chehra jab aankhon me,
fir se us wakt me ji jata hu.aata hai wo har pal yaad apna,
us pal ko pyar se me sehlata hu.aankhen tarasti hai harsu,
uske ek didaar ke lie.kabhi taraste the uske izhaar ko....
ab puchte hain ek inkaar ke lie.raaten aaj bhi kat ti hai humari,
aur dekhte hain unhe khayalo mepar pyar karte karte unhe,
uljhe reh gaye apne hi sawalo me.


MUCHE ROKLO AAJ MUjHE THUMSE JUDA HONA HAI
DILSE THERE PYAAR MITAKE BEWAFA HONA HAI
MUCHE ROKLO KYA SOCHKE DaR LAGA RAHA HAI-
KYA MERI THARAH THUjHE BHI APNA PYAAR KHONA HAI.....
KAGAZ PE HUMNE ZINDAGI LIKH DI,
AANSUON SE SEENCH KAR HAR KHUSHI LIKH DI,
DARD KO JAB HUMNE UBHARA LAFZO PE,
LOGO NE KAHA WAH KYA GAZAL LIKH DI.


MOHABBOT KI SHAMA JALAKE TO DEKHO,

ZARA DIL KI DUNIYA SAJA KE TO DEKHO,
TUMHE HO NA JAAYE MOHAABAT TO KEHNA,
ZARA HUMSE NAZRE MILAKE TO DEKHO.......


ISHQ NE HUME BENAM KAR DIYA,

HAR KHUSHI SE HAME ANJAAN KAR DYA,
HAMNE KABHI NAHI CHAHA KI ISHQ HAME BHI HO,
PAR USKI NAZAR NE HAME BHI USKA ASHIQU KAR DIYA.


LEHRON SE MILKAR NA WO BEH SAKE NA HUM,
EK DUJE KE DIL ME NA WO REH SAKE NA HUM,
JEET LETE ASMA EKDIN LEKIN,
PALKO KI KHAMOSHI KO HOTON SE NA WO KEH SAKE NA HUM.


Teri us ada se bhi hun mein ashna tujhey

Itna jis pay gharoor haimein jiyo ga terey
Baghair bhi mujhay zindgi ka shaoor hai


Ruthna Mat Kabhi Hame Manana Nahi Aata,

Door Nahi Jana Hame Bhulana Nahi Aata,
Tum Bhool Jao Hame Tumhari Marzi,
Magar Hum Kya Kare Hame Bhulana Nahi Aata….!!!!


Tujh ko chaha bhi tu izhaar na karna ayakat gaye,

Umer humein pyar na karna ayaus nay manga bhi,
Agar kuch tu judaai mangiaik hum they humein inkaar na karna aya..


Zaruri to nahi jine ke liye Sahara ho,

Zaruri to nahi hum jinke hai who humara ho,
Kuch kashtiya doob bhi jaya karti hai,
Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho..


Jo ansu na hote annkho mein.

To aankhe itni khoobsurat na hoti..!!!!!!!
Jo dard na hota dil mein..
To khushi ki kimat pata na hoti..!!!!!!!
Jo bewafai na ki hoti waqt ne.
To wafa ki kabhi chahat na hoti..!!!!!!
Agar maangne se puri ho jaati muraadein
To uss khuda ki kabhi Zaruratt na hoti..!!!!!!!!


Zindagi mohtaj nahi manzilo ki....

Waqt har manzil dikha deta hai.....
Koi marta nahi kisi se juda hokar.....
Waqt sabko jeena sikha deta hai….........


Kaise jiyenge tum bin,

Ye khayal to kiya hota,
Jo dard saha humne vo kabhi tumne bhi saha hota,
Bas chal diye daaman chuda ke,
Begano ki tarahkam se kam hass ke bar alvida to kaha hota.


Gile Kagaz Ki Tarah Hain Zindagi Apni.

Koi Jalata Bhi Nahi Aur Bahata Bhi nahi,
Is Kadar Hain Rahoon Mein Dil Ki..
Koi Satata Bhi Nahi Aur Manata Bhi Nahi !!!


Hum se aaya na gaya,

Tum se bulaaya na gaya,
Faasla pyaar mein,
Donon se Mitaaya na gaya,
Aane ke waqt,
Tum tou kaheen ke kaheen rahey,
Ab Aaey Tum tu kaya Faaeda?
Jab Hum hi nahin rahey!!!


Hoton ki juban se ye ansu kehte hai.

Jo chup raheke bhi behte hai,
Aur in Aasun o ki kismat to dekho.
Ye unke liye bahete hai jo in aakho mai rahete hai..

Tuesday, April 11, 2006

Mat muskurao itna ki,
Phoolon ko khabar lag jaye,
Aur kare wo tumhari tareef,
Aur tumhe nazar lag jaye.


Mera ikraar tere inkaar se behatar hoga,
Mera din bhi teri raat se behtar hoga,
Yakeen nahin to dolee se jhankke dekhna,
Mera janazaa teri baaraat se behatar hoga.


Jam tootne ka bahana na kar,
Hum teri aankhon se pee lenge,
Tu aa ya na aa aane ka vaada to kar,
Hum teri intzar me hi jee lenge.


Jasie taro ke saath aakash he,
Vaise sache pyar ke saath vishwaas he,
Dil ke mazaro se dhundoge agar ,
To hum har waqt aapke paas he.


Ek roshni ki aas par aye kidhar se hum,
Kuch bhi na le sakay tere noor-e-sahar se hum,
Ek ajnabi ne ki thi nigahon se baat,
Nikle nahi ab talak us ka asar se hum.
Apni yaadon me hum tumhe basana chahte hai,
Apne paas tumhe hum bulana chahte hai,
Thak gaye hum tumhe yaad karte karte,
Ab hum tumhe yaad aana chahte Hai.
Aaj bhi uski nazroo me raaz wahi tha,
Chehra wahi tha aur Chehre ka nakaab wahi tha.
Kaise use bewafa kahu,
Aaj bhi uske dekhne ka aandaz wahi tha.
Badi mehnat se meri duniya lutai hogi,
Meri mohabbat ki hansti mitai hogi,
La tere pairo me marhum laga dun ,
Mere dil ko thoker marne me chot to aai hogi.
Ab tum mil hi gaye to saath nibhana;
Haath chudake zindagi main tum chale na jaana;
Yeh na samajhna ke tum chale gaye to hum mar jayenge;
Teri yaadon ke sahare, tere intezar main hum baki jindagi bitayenge.

Thursday, March 16, 2006

Mere Wajod Mein Kash Tu utar Jaye,
Main Dekhoon Aayina Aur Tu Nazar Aaye,
Tu Ho Samne Aur Waqt Thehar Jaye,
Ye Zindagi Tujhe Yuhin Dekhte Huye Guzar Jaye.


Pyar chupta nahi aankhe chupane se,
Dil rukta nahi ksike samjhane se,
Hum tumhe yaad karte he jeene ke bahane,
Kyuki rukti he dhadkan tunmhe bhul jane se.


Tanha jab dil hoga, aapko aawaz diya karenge.
Raat me sitaronse aapka jikr kiya karenge.
Aap aaye ya na aaye hamari khwabonme,
Ham bas aapka intezaar kiya karenge .


Teri awaz tere roop ki pehchan hai,
Tere dil ki dhadkan mere dil ki jaan hai.
Na sunu jis roz teri batein,
Lagta hai us roz ye jism hi bezaan hai.


Khamosh Raat Ke Pehloo Main Sitare Nahi Hote,
In Rukhi Aankhon Main Rangeen Nazare Nahi Hote,
Hum Bhi Na Karte ParwahAgar Aap Itne Pyare Na Hote.



Waade bhi usne kya khub nibhaye,
Zakham muft mein aur dard tohfe me bhijwaye,
Is se badhkar wafa ki misaal kya hogi,
Maut se pehle hi wo mere liye kafan le aaye.

Sunday, January 1, 2006

Fasle mita kar apas me pyar rakhna,
Dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna.
Bichad jae kabhi apse hum,
Ankhon me hamesha hamara intezaar rakhna!


Tumse milna baten karna acha lagta hai,
Pal do pal paas baithna acha lagta hai.
Kehne ko to bahut si baten hain,
Par na jane kyon chup rehna acha lagta hai.


Kabhi to yeh dil zarur rota hai,
Jab koi apna mil kar nazro se door hota hai,
Kyun roti hai kambakht yeh aankhen,
Kyunki dil se jyada kasoor inka hota hai.


Na muskurane ko dil karta hai,
Na aanshu bahane ko dil karta hai,
Kya kahen jab aapki yaad aati hai,
Aap ke paas aane ko dil karta hai.


Bandagi hai khuda ki,
Khuda ka hai noor,
Heeron mein yeh heera hai,
Nooron mein kohinoor,
Kitno ko katl kiya isne,
Kitno ko kiya majboor,
Dilwlaon ka hai aasra,
Jab voh hote hain door ,
Judai mein dilbar ki,
Yeh ban jaati hai nasoor..


Kisi ek se karo pyar itna ki kisi aur se pyar karne ki gunjaish na rahe,
Wo muskurade apko dekhkar ek baar to zindagi se phir koi khwaish na rahe!!!


Dooriya bahut hai par itna samajh lo,
Paas reh kar bhi koi rishta khas nahi hota,
Tum dil k paas itne ho,
Ki duriyon ka ehsaas nahi hota..


Mehfil me na sahi tanhai me to yaad karoge,
Kabhi to us khuda se fariyaad karoge,
Na mila hai na milega mere jaisa dost,
Kabhi to is baat par naaaz karoge.


Najar se najar ka jab ikrar hota hai,
Har mod par tab kisi ka intejar hota hai,
Hai aakhen roti aur zakham haste hai,
Isi ka nam to pyaar hota hai.


Waqt to hume bhula chuka hai,
Mukaddar bhi na bhula de,
Pyar hum isliye nahi karte kyu ki,
Darte hai koi fir se na rulade.


Badalo k darmiya kuch aisi sajish hui,
Mera ghar miiti ka tha mere hi ghar baarish hui,
Falak ko b zid ha bijiya girane ki,
Humne b zid hai waha aashiyan banane ki..


Palkhon ke kinare humne bhigoye hi nahi,
Wo kehte hai hum roye hi nahi,
Wo puchte hai khwabo me kise dekhte ho,
Aur hum unki yaad me soye hi nahi...


Koi gila na koi shikwa rahe aapse,
Ye arzoo hai 1 silsila bana rahe aapse,
Bas 1 baat ki umeed hai aap se,
Khafa na hona agar hum khafa rahe aapse...


Ehsaas bahut hoga jab chod k jayenge,
Royenge baut magar aasu nahi aayenge,
Jab saath na de koi aapka,
To aawaz hume dena,
Aasman par bhi honge to lautke aayenge.
Ehsaas bahut hoga jab chod k jayenge,
Royenge baut magar aasu nahi aayenge,
Jab saath na de koi aapka,
To aawaz hume dena,
Aasman par bhi honge to lautke aayenge.


Ho sakta hai usne anjane me hame rula diya ho,
Usne duniya k kehne par hume bhula diya,
Hum to vaise bhi akele the,
Kya hua! agar kisi ne ehsaas dila diya ho.


Aakho me armaan diya karte hai,
Hum sabki neend chura liya karte hai,
Ab se jab jab aapki palke jhapkegi,
Samjh lena tab tab hum aapko yaad kiya karte hai.


Raat kya dhali sitare chale gaye,
Gairo se kya gila jab apne chale gaye,
Jeet to sakte the ishq ki baazi hum zarur,
Par unko pane ki chaahat mein haarte chale gaye.


Sajte dil me tarane bahut hai,
Zindagi jeene k bahane bahut hai,
Aap sada muskurate rahe,
Aapki muskurat k deewane bahut hai.


Bikhar gaye jo moti,
Hum unhe piro na sake.
Teri yaad me sari raat hum so na sake.
Behhna jaye kahi aasuo me tasvir,
Ye sochkar hum kabhi ro na sake.


Aisa nahi ki aapke yad aati nahi,
Khata sirf itni hai ki hum batate nahi.
Dosti aapki anmol hai humare liye,
Samjhte ho aap isliye hum jatate nahi.