Monday, April 16, 2007

Dil Jab Toot-Ta Hai To Awaz Nahi Aati,
Har Kisi Ko Mohabat Raas Nahi Aati,
Ye To Apne Naseeb Ki Baat Hai,
Koi Bhulta Hi Nahi Aur Kisiko Yad Hi Nahi Aati .


Waqt ki anch mein pathar bhi pighal jate hai,
Khushi ke lamhe gum mein badal jate hai,
Kaun karta hai kisi ko yaad,
Waqt ke saath khayalat badal jate hai…..


Inn jannmon ke waade to unn se nibhaye nahi gaye,
Bahut chaha dil ne par wo bhulaye nahi gaye,
Har yaad ko chaha mitana apni zindagi se,
Par na jaane kyon yeh zakhm mitaye nahi gaye.


Sirf isharon mein hoti mohabbat agar,
In alfazo ko khubsurti kaun deta.
Bas patthar bankar reh jata tajmahal,
Use ishq ki pehchan kaun deta.


Jhuki nazron se ekrar mat karna,
Nazren utha kar enkar mat karna,
Raat bhar tapapte ho kisi ki yaadon mein,
Aur dusron ko kahte ho kisi se pyar mat karna.


Yaadon ki keemat wo kya jane,
Jo khud yaado ko mita diya karte hain,
Yaado ka matlab to humse puncho,
Jo yaado ke sahare jindgi jiya karte hain....


Beet Jate Hai Jo Vo Jamane Nahi Aate,
Aate Bhi Hai To Vo Log Purane Nahi Aate.
Kuch Is Kadr Bikhra Hai Aashiyan Mera,
Jaha Panchhi Bhi Rat Bitane Nahi Aate.


HUMNE APNO KO DUR JATE HUE DEKHA HAI.
JO MILA USSE KHOTE HUE DEKHA HAI.
LOG KEHTE HAI PHOOL MUSKURATE HAI
PAR HUMNE PHOOLON KO BHI ROTE HUE DEKHA HAI !!!!!!!!!!!!!


Aaj hum unhe bewafa bata kar aaye hai,
Unke khaton ko pani mein bahakar aaye hai,
Koi nikal kar pad na le unhe,
Is liye pani mein bhi aag laga kar aaye hai.......


Kuchh Nahi Kaha.....
Hum bhi karte hain shayri,par hume to shayar kisi ne nahi kaha
Humne bhi ki mohobbat,par hume to aashiq kisi ne nahi kaha.
Hum bhi jaage raato ko tanha,hume to pagal kisi ne nahi kaha
Apne khwabo me jaakar uss chehre ko chhua,par un hotho ne bhi kuchh nahi kaha,
Humne bhi pure dil se unhe chaha,hume to dilwala kisi ne nahi kaha
Humne bhi har dua me usse maanga,hume to deewana kisi ne nahi kaha
Sab sehte hain chupchap bethkar,humne to kisi se kuch nahi kaha
Marte hain uss par din raat hum to,par zindagi se kabhi kuch nahi kaha
Mohobbat to ki hai bepanah unse,jo aaj bhi karte hain yaad
Bas itni khata kar li humne, ki unse kabhi kuch nahi kaha


Ghum is qadar mila k ghabra k pee gaye,
Khushi thodi mili to mila kar pee gaye,
Yu to na the hum peene k aadi,
Sharab ko tanha dekha to taras kha k pee gaye.
Khwaab dekh bhi nahi aur tut gaye
woh humse mile bhi nahi aur ruth gaye
hum jaagte rahe duniya soti rahi
ek baarish hi thi jo saath roti rahi.......

Friday, March 16, 2007

Ankhein nami si thi,
Zindagi mein ek kami si thi,
Aap jo aae tau labon pe hasi aaye,
Na kabhi dekhi aisi khushi laye,
Mausam chahe badle tum na kabhi badalna,
Khush raho hamesha tum....bus kabhi alvida na kehna.


Jab bhi teri yaad aayegi,
Naam leke tera hum muskuraenge,
Tujhse kuch kehna ho tau kuch is tarah gungunaenge,
Titli ko jaise phoolon se hota hai pyar,
Suraj dhalne pe chand dikhae chandni ki chamkaar,
Lehro ke mukaddar mein bhi hota hai koi kinare pe uska sansar,
Shayad apni bhi hogi ek kahani suhani,
Ke karte hai aapse yu behad pyar...


Teri hasrat ka khaab banker tujh main uter jao,
teri diwangi ka raaz banker usmain baser jao,
koi diwaar na ho jismain rehbaser ki,
ayese gher ki dar o diwaar main ban jao,
teri aarzo ka ahsaas banke,
milo gi tujhe main teri pyaas banke ,
tu ger na mile tu main tu bikher jao,
tere rang main rang ke holi manao gi ,
tere her naqsh pe chlti main jaogi ,
tera hi saya ho jha bhi jidher jao,
etna main tujh ko hadse zyada pyaar do,
tere dil ki dunya pyaar se sawaar do,
tera her zakhm main pyaar se bher jao,
teri zubaan se bolo tere dil ki her boli,
zid se na khelo main koi aankh micholi,
teri khtir jio tere waste mar jaaon..


Shama hoon jalna meri zindagi hai.
Mai jal ke bhi khush hoon agar roshni hai.
Sajai gayee jab bhi khushiyon ki mehfil,
Mujhe log karte rahe usme shaamil,
Mujhe kuch mile na mile gum nahi hai,
Mujhe doosron ki khushi kum nahi hai,
Muqaddar mein andhere mile hai,
Shikayat mujhe jahan se kab rahi hai?.


Tanhayeeyon me sath rahe tere Jo sada,
Oh dosti ka jazba tujhe de ke jaunga !
Duniya bade fareb ki Bach ke niklna,
Mai jazba-e-khulus tujhe de ke jaunga !
Khilne ki aarju aur mahakne ki justju,
Tohfa e hasraton ka tujhe de ke jaunga !
Roshan rahe gulshaneejad Tere noor se,
Tere labon ko aisi hansi de ke jaunga !
Jaunga bade sauk se kuchh der to thahar,
Tasweer dil me teri eek Le ke jaunga !
Jana to kisi roj hai har saks ko yahan,
Moti e aansuon ke tere Le ke jaunga !
Kuchh bhi to mere pas nahi pyar ke siwa,
Shayar Hun eek haseen gazal de ke jaunga....

Friday, February 16, 2007

Is raat ki tanhaeeyo kay sab rang badal gaye hai,
Chand nikla hai waise hi andhere badal gaye hai,
Jinke bharose thi khusiyan, wo badal gaye hain,
Manzile to abb bhi wo hi hain, kuch rastay badal gaye hain,
Jinpe kiya tha bharosa humne, wo tanha chor gaye hain,
Dakhe thay kabhi jo humne, wo kahwab badal gaye hain,
Jo banay thay kabhi hamsafar, aaj wo hi mukarr gaye hain,
Aisa tutay huye dil kay saray jazbaat badal gaye hain,
Na badle kabhi hum na badle hamaray khayalat,
Bas rona hai yahi,Kuch log badal gaye hain...


Chupke se koi dil me sama jata hai,
Jise hume tadpane me maza aata hai.
Koi itna dard de gaya,par kambakth,
Dil ko usi pe pyaar aata hai.


Aarzoo hai door se dekhne ki,
Kareeb aana bhi nahi chahte,
Tamanna nahi tumhe pane ki,
Magar khona bhi nahi chahte..


Mushkilo se ghabrakar ab jeena nahi chahte,
Dur apse rehna nahi chahte,
U to dost bahut bane zindagi me,
Par aap jaisa dost khona nahi chahte...


Dete hai kyu woye dard bas hum hi ko,
Kya samjhenge wo in aakho ki nami ko,
Yu to hoge lakho diwane us chaand ke,
Chaand kya mehsuskarega ek tare ki kami ko!
Chupa chupake raat din aansu bahana yaad hai,

Humko ab tak, Aashiqui ka,
Wo zamana yaad hai...Aisa lagtaa hai,
Ke saaree khubsuratee tuj mein samaagaye
Raahon mein chalte ho, to nazarein tuj par rekhtee hai,
Andheraa jeevan bhi, tuj se roshan ho jata hai...