Monday, April 16, 2007

Dil Jab Toot-Ta Hai To Awaz Nahi Aati,
Har Kisi Ko Mohabat Raas Nahi Aati,
Ye To Apne Naseeb Ki Baat Hai,
Koi Bhulta Hi Nahi Aur Kisiko Yad Hi Nahi Aati .


Waqt ki anch mein pathar bhi pighal jate hai,
Khushi ke lamhe gum mein badal jate hai,
Kaun karta hai kisi ko yaad,
Waqt ke saath khayalat badal jate hai…..


Inn jannmon ke waade to unn se nibhaye nahi gaye,
Bahut chaha dil ne par wo bhulaye nahi gaye,
Har yaad ko chaha mitana apni zindagi se,
Par na jaane kyon yeh zakhm mitaye nahi gaye.


Sirf isharon mein hoti mohabbat agar,
In alfazo ko khubsurti kaun deta.
Bas patthar bankar reh jata tajmahal,
Use ishq ki pehchan kaun deta.


Jhuki nazron se ekrar mat karna,
Nazren utha kar enkar mat karna,
Raat bhar tapapte ho kisi ki yaadon mein,
Aur dusron ko kahte ho kisi se pyar mat karna.


Yaadon ki keemat wo kya jane,
Jo khud yaado ko mita diya karte hain,
Yaado ka matlab to humse puncho,
Jo yaado ke sahare jindgi jiya karte hain....


Beet Jate Hai Jo Vo Jamane Nahi Aate,
Aate Bhi Hai To Vo Log Purane Nahi Aate.
Kuch Is Kadr Bikhra Hai Aashiyan Mera,
Jaha Panchhi Bhi Rat Bitane Nahi Aate.


HUMNE APNO KO DUR JATE HUE DEKHA HAI.
JO MILA USSE KHOTE HUE DEKHA HAI.
LOG KEHTE HAI PHOOL MUSKURATE HAI
PAR HUMNE PHOOLON KO BHI ROTE HUE DEKHA HAI !!!!!!!!!!!!!


Aaj hum unhe bewafa bata kar aaye hai,
Unke khaton ko pani mein bahakar aaye hai,
Koi nikal kar pad na le unhe,
Is liye pani mein bhi aag laga kar aaye hai.......


Kuchh Nahi Kaha.....
Hum bhi karte hain shayri,par hume to shayar kisi ne nahi kaha
Humne bhi ki mohobbat,par hume to aashiq kisi ne nahi kaha.
Hum bhi jaage raato ko tanha,hume to pagal kisi ne nahi kaha
Apne khwabo me jaakar uss chehre ko chhua,par un hotho ne bhi kuchh nahi kaha,
Humne bhi pure dil se unhe chaha,hume to dilwala kisi ne nahi kaha
Humne bhi har dua me usse maanga,hume to deewana kisi ne nahi kaha
Sab sehte hain chupchap bethkar,humne to kisi se kuch nahi kaha
Marte hain uss par din raat hum to,par zindagi se kabhi kuch nahi kaha
Mohobbat to ki hai bepanah unse,jo aaj bhi karte hain yaad
Bas itni khata kar li humne, ki unse kabhi kuch nahi kaha


Ghum is qadar mila k ghabra k pee gaye,
Khushi thodi mili to mila kar pee gaye,
Yu to na the hum peene k aadi,
Sharab ko tanha dekha to taras kha k pee gaye.
Khwaab dekh bhi nahi aur tut gaye
woh humse mile bhi nahi aur ruth gaye
hum jaagte rahe duniya soti rahi
ek baarish hi thi jo saath roti rahi.......

Friday, March 16, 2007

Ankhein nami si thi,
Zindagi mein ek kami si thi,
Aap jo aae tau labon pe hasi aaye,
Na kabhi dekhi aisi khushi laye,
Mausam chahe badle tum na kabhi badalna,
Khush raho hamesha tum....bus kabhi alvida na kehna.


Jab bhi teri yaad aayegi,
Naam leke tera hum muskuraenge,
Tujhse kuch kehna ho tau kuch is tarah gungunaenge,
Titli ko jaise phoolon se hota hai pyar,
Suraj dhalne pe chand dikhae chandni ki chamkaar,
Lehro ke mukaddar mein bhi hota hai koi kinare pe uska sansar,
Shayad apni bhi hogi ek kahani suhani,
Ke karte hai aapse yu behad pyar...


Teri hasrat ka khaab banker tujh main uter jao,
teri diwangi ka raaz banker usmain baser jao,
koi diwaar na ho jismain rehbaser ki,
ayese gher ki dar o diwaar main ban jao,
teri aarzo ka ahsaas banke,
milo gi tujhe main teri pyaas banke ,
tu ger na mile tu main tu bikher jao,
tere rang main rang ke holi manao gi ,
tere her naqsh pe chlti main jaogi ,
tera hi saya ho jha bhi jidher jao,
etna main tujh ko hadse zyada pyaar do,
tere dil ki dunya pyaar se sawaar do,
tera her zakhm main pyaar se bher jao,
teri zubaan se bolo tere dil ki her boli,
zid se na khelo main koi aankh micholi,
teri khtir jio tere waste mar jaaon..


Shama hoon jalna meri zindagi hai.
Mai jal ke bhi khush hoon agar roshni hai.
Sajai gayee jab bhi khushiyon ki mehfil,
Mujhe log karte rahe usme shaamil,
Mujhe kuch mile na mile gum nahi hai,
Mujhe doosron ki khushi kum nahi hai,
Muqaddar mein andhere mile hai,
Shikayat mujhe jahan se kab rahi hai?.


Tanhayeeyon me sath rahe tere Jo sada,
Oh dosti ka jazba tujhe de ke jaunga !
Duniya bade fareb ki Bach ke niklna,
Mai jazba-e-khulus tujhe de ke jaunga !
Khilne ki aarju aur mahakne ki justju,
Tohfa e hasraton ka tujhe de ke jaunga !
Roshan rahe gulshaneejad Tere noor se,
Tere labon ko aisi hansi de ke jaunga !
Jaunga bade sauk se kuchh der to thahar,
Tasweer dil me teri eek Le ke jaunga !
Jana to kisi roj hai har saks ko yahan,
Moti e aansuon ke tere Le ke jaunga !
Kuchh bhi to mere pas nahi pyar ke siwa,
Shayar Hun eek haseen gazal de ke jaunga....

Friday, February 16, 2007

Is raat ki tanhaeeyo kay sab rang badal gaye hai,
Chand nikla hai waise hi andhere badal gaye hai,
Jinke bharose thi khusiyan, wo badal gaye hain,
Manzile to abb bhi wo hi hain, kuch rastay badal gaye hain,
Jinpe kiya tha bharosa humne, wo tanha chor gaye hain,
Dakhe thay kabhi jo humne, wo kahwab badal gaye hain,
Jo banay thay kabhi hamsafar, aaj wo hi mukarr gaye hain,
Aisa tutay huye dil kay saray jazbaat badal gaye hain,
Na badle kabhi hum na badle hamaray khayalat,
Bas rona hai yahi,Kuch log badal gaye hain...


Chupke se koi dil me sama jata hai,
Jise hume tadpane me maza aata hai.
Koi itna dard de gaya,par kambakth,
Dil ko usi pe pyaar aata hai.


Aarzoo hai door se dekhne ki,
Kareeb aana bhi nahi chahte,
Tamanna nahi tumhe pane ki,
Magar khona bhi nahi chahte..


Mushkilo se ghabrakar ab jeena nahi chahte,
Dur apse rehna nahi chahte,
U to dost bahut bane zindagi me,
Par aap jaisa dost khona nahi chahte...


Dete hai kyu woye dard bas hum hi ko,
Kya samjhenge wo in aakho ki nami ko,
Yu to hoge lakho diwane us chaand ke,
Chaand kya mehsuskarega ek tare ki kami ko!
Chupa chupake raat din aansu bahana yaad hai,

Humko ab tak, Aashiqui ka,
Wo zamana yaad hai...Aisa lagtaa hai,
Ke saaree khubsuratee tuj mein samaagaye
Raahon mein chalte ho, to nazarein tuj par rekhtee hai,
Andheraa jeevan bhi, tuj se roshan ho jata hai...

Sunday, April 16, 2006

Pyar Karnewalon ki kismat kharaab hoti hai,
Har waqt inteha ki ghadi saath hoti hai,
Waqt mile to rishto ki kitaab khol ke dekh lena,
Dosti har rishtey se lajawab hoti ha.


Kisi Ko Apni Khoobion Ka Ehsaas Nahin Hota
Aap Jaisa Dostoon Ka Milna Itifaaq Nahin Hota
Achha Kuch Kia HoGa Hum Ne
Warna Aap Ho Sath Humaray Yeh Yaqeen Nahin Hota .


Ddil mein tumhare apni kami chod jayenge,
Aakho mein intezar ki lakir chod jayenge,
Yaad rakhna muje dhoondte firoge,
Ek din zindagi mein aise dost kami chod jayenge!!


Gujare hai hum is mukaam se,
Nafrat si ho gayi hai mohabbat ke naam se
Hum woh nahi jo jindagi rokar gujaar de
Parchai bhi ho uski toh thokar maar de !!!



Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
Kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
Lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
Gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
Kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi...


Ek hi raah ko umar bhar dekhna,
Koi aaye na aaye fir bhe dekhna.
Tum hume dekh kar kho gaye soch mai,
Ab dobara hume soch kar dekhna.
Tera palken jhukana humai dekh kar,
Phir idhar dekhna phir udhar dekhna.
Tujhse seekha hai furqat ki her shab mai,
Chaand ko raat bhar jaag kar dekhna.
Ishq mai tootnay ka alag lutf hai,
Tum kabhi ishq mai toot kar dekhna..
Sari umar ankho me ek sapna yaad raha,
Sadiyan beet gayi jisme wo lamha yaad raha,
Na jane kya baat thi unme,
Sari mehfil bhul gaye bus wo hi ek chahra yaad raha...


Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai,
Jab koi apna mil kar nazron se door hota hai.
Kyun roti hai kambakht yeh ankhe,
Kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota ha.


Ban sahara be-saharo ke liye,
Ban kinara be-kinaro ke liye,
Jo jeeye apne liye toh kya jeeye,
Jee sakke toh jee hazaro ke liye!!


Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho,
Zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho,
Kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai,
Zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho..


Yaado main kabhi aap bhi khoye hoge,
Khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge,
Maana hasna ada hai ghum chupaane ki,
Par haste haste kabhi aap bhi roye hoge..


Dosti ka haq Hum ada yun karte hai.
Tere naam pe ye jaan fida hum karte hain.
Tujhko phool ka bhi Zakhm na Aane paaye
Hum khuda se yehi duaa karte hai.


Zindagai ki raaah me bahot se yaar milenge,
Hum kya....humse bhi achche hazaar milenge,
In acchchonki beed me hume bhula mat dena,
Hum kahan tumhe baaar baar milenge.
Phir se dil dukhane ye raat aaye
Teri yaad ye saath aaye
Aaso bankee ye aakhon mein chaye
Aakhein subah tak so na paaye
Yaad mujhe ab naa aa. .
Dil tadpane naa aaJaa too Mujhee na kabhi yaad aa..
Tu mere jaane ke baad aa...


EK DIL MERE DIL KO ZAKHM DE GAYA,
ZINDAGI BHAR NA MILNE KI KASAM DE GAYA,
LAKH PHULON ME EK PHOOL KO CHUA THA HAMNE,
JO KAANTO SE BHI GEHRI CHUBHAN DE GAYA.


TANHA HO KABHI TO MUJHE DHOONDH LENA,
IS DUNIA SE NAHI APNE DIL SE PUCH LENA,
APKE AS PAS HI KAHI REHTE HAIN HUM,
YADO SE NAHI TO SATH GUZARE LAMHO SE POOCH LENA.


Maine kaha aaj jo chaahe maang lo siwaay jaan ke
Usne mere aansoo maange aur rakhe sambhaal ke
Maine use kabhie kuchh na diya, bahaane hazaar the
Usne mujhe aaj phool bhi diye toe kaante nikaal ke


Ishq-Vishq kuch nahinBas bhavnaoN ki andhi hai
Tum usmaiN mat beh jana dost
Abhi zindagi bahut baki hai
Dua hai - waqt tujhe aage le jaye
OR MERE SATH MERA SAKI HAI!!!!


Agar zindagi me judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to,
Shayad rishton me yeh gehrai na hoti.


Saath saath chal rahe thhe hum apni manzil ki aur,
Kyun chhod diya saath jab manzil thhi apni aur,
Woh pal do pal ki khushiyan bitai hum ne aapke saath,
Woh aaj hansate hai hume yeh jankar bhi aap nahi humare saath.


Aankh se gira aansu koi utha nahi sakta.,
Kisamt main likha koi mita nahi sakta.
App to hamare dil main hon,
or is dilko humse koi chura nahi sakta.


Ye Mohabbat hai...
.Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai,
zindagi ka har mod asan nahin hota,
kadam kadam par mushile hoti hain.
..phir jab hum zindagi ka saath nahin chodte
toh phir mohabbat ka saath kaise chood de ???


Door jake bhi tujhse door ja na sake
kitna roye kisi ko bata na sake
gum ye nhi ki tumhe pa na sake
gum sirf itna hai ki tumhe bata na sake....


Kabhi socha nahi tha tumhare baare mein,
par tum ne ab sochne par majboor kiya hai..
Tum ne bina kahe, her harkat mein,
apne pyar ka izhaar kiya hai...
Par... maine, itna kehne ke baad bhi kabhi kuch kaha nahi,
aur tere ishaaron ko samajh kar bhi nazarandaaz kiya hai !!!


Aahk se aasu kabhi girne na paye,
na dard ho aapko na kabhi chot aaye,
mere hisse mein khushiya jyada to nahi,
par rab kare wo bhi aapko mil jaye.


jin raton me chehra tha unka,
wo khamosh raaten jeena chahta hun.jin baaton me naam tha unka,
un shabdon ko sunna chahta hun. dhadkane aaj bhi chalti hain humari,
lekar naam unka khamoshi se.hosh me rehne ka aalam kuch aur hai,
par darte hain madhoshi se.ab to dekhte hain unka chehra hardum,
khokar unki yaadon me.maanga kitni baar khuda se,
bass unko apni fariyaadon me.aata hai wo chehra jab aankhon me,
fir se us wakt me ji jata hu.aata hai wo har pal yaad apna,
us pal ko pyar se me sehlata hu.aankhen tarasti hai harsu,
uske ek didaar ke lie.kabhi taraste the uske izhaar ko....
ab puchte hain ek inkaar ke lie.raaten aaj bhi kat ti hai humari,
aur dekhte hain unhe khayalo mepar pyar karte karte unhe,
uljhe reh gaye apne hi sawalo me.


MUCHE ROKLO AAJ MUjHE THUMSE JUDA HONA HAI
DILSE THERE PYAAR MITAKE BEWAFA HONA HAI
MUCHE ROKLO KYA SOCHKE DaR LAGA RAHA HAI-
KYA MERI THARAH THUjHE BHI APNA PYAAR KHONA HAI.....