Sunday, January 1, 2006

Ehsaas bahut hoga jab chod k jayenge,
Royenge baut magar aasu nahi aayenge,
Jab saath na de koi aapka,
To aawaz hume dena,
Aasman par bhi honge to lautke aayenge.


Ho sakta hai usne anjane me hame rula diya ho,
Usne duniya k kehne par hume bhula diya,
Hum to vaise bhi akele the,
Kya hua! agar kisi ne ehsaas dila diya ho.


Aakho me armaan diya karte hai,
Hum sabki neend chura liya karte hai,
Ab se jab jab aapki palke jhapkegi,
Samjh lena tab tab hum aapko yaad kiya karte hai.


Raat kya dhali sitare chale gaye,
Gairo se kya gila jab apne chale gaye,
Jeet to sakte the ishq ki baazi hum zarur,
Par unko pane ki chaahat mein haarte chale gaye.


Sajte dil me tarane bahut hai,
Zindagi jeene k bahane bahut hai,
Aap sada muskurate rahe,
Aapki muskurat k deewane bahut hai.


Bikhar gaye jo moti,
Hum unhe piro na sake.
Teri yaad me sari raat hum so na sake.
Behhna jaye kahi aasuo me tasvir,
Ye sochkar hum kabhi ro na sake.


Aisa nahi ki aapke yad aati nahi,
Khata sirf itni hai ki hum batate nahi.
Dosti aapki anmol hai humare liye,
Samjhte ho aap isliye hum jatate nahi.

No comments: