Friday, March 16, 2007

Ankhein nami si thi,
Zindagi mein ek kami si thi,
Aap jo aae tau labon pe hasi aaye,
Na kabhi dekhi aisi khushi laye,
Mausam chahe badle tum na kabhi badalna,
Khush raho hamesha tum....bus kabhi alvida na kehna.


Jab bhi teri yaad aayegi,
Naam leke tera hum muskuraenge,
Tujhse kuch kehna ho tau kuch is tarah gungunaenge,
Titli ko jaise phoolon se hota hai pyar,
Suraj dhalne pe chand dikhae chandni ki chamkaar,
Lehro ke mukaddar mein bhi hota hai koi kinare pe uska sansar,
Shayad apni bhi hogi ek kahani suhani,
Ke karte hai aapse yu behad pyar...


Teri hasrat ka khaab banker tujh main uter jao,
teri diwangi ka raaz banker usmain baser jao,
koi diwaar na ho jismain rehbaser ki,
ayese gher ki dar o diwaar main ban jao,
teri aarzo ka ahsaas banke,
milo gi tujhe main teri pyaas banke ,
tu ger na mile tu main tu bikher jao,
tere rang main rang ke holi manao gi ,
tere her naqsh pe chlti main jaogi ,
tera hi saya ho jha bhi jidher jao,
etna main tujh ko hadse zyada pyaar do,
tere dil ki dunya pyaar se sawaar do,
tera her zakhm main pyaar se bher jao,
teri zubaan se bolo tere dil ki her boli,
zid se na khelo main koi aankh micholi,
teri khtir jio tere waste mar jaaon..


Shama hoon jalna meri zindagi hai.
Mai jal ke bhi khush hoon agar roshni hai.
Sajai gayee jab bhi khushiyon ki mehfil,
Mujhe log karte rahe usme shaamil,
Mujhe kuch mile na mile gum nahi hai,
Mujhe doosron ki khushi kum nahi hai,
Muqaddar mein andhere mile hai,
Shikayat mujhe jahan se kab rahi hai?.


Tanhayeeyon me sath rahe tere Jo sada,
Oh dosti ka jazba tujhe de ke jaunga !
Duniya bade fareb ki Bach ke niklna,
Mai jazba-e-khulus tujhe de ke jaunga !
Khilne ki aarju aur mahakne ki justju,
Tohfa e hasraton ka tujhe de ke jaunga !
Roshan rahe gulshaneejad Tere noor se,
Tere labon ko aisi hansi de ke jaunga !
Jaunga bade sauk se kuchh der to thahar,
Tasweer dil me teri eek Le ke jaunga !
Jana to kisi roj hai har saks ko yahan,
Moti e aansuon ke tere Le ke jaunga !
Kuchh bhi to mere pas nahi pyar ke siwa,
Shayar Hun eek haseen gazal de ke jaunga....

No comments: