Sunday, January 1, 2006

Fasle mita kar apas me pyar rakhna,
Dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna.
Bichad jae kabhi apse hum,
Ankhon me hamesha hamara intezaar rakhna!


Tumse milna baten karna acha lagta hai,
Pal do pal paas baithna acha lagta hai.
Kehne ko to bahut si baten hain,
Par na jane kyon chup rehna acha lagta hai.


Kabhi to yeh dil zarur rota hai,
Jab koi apna mil kar nazro se door hota hai,
Kyun roti hai kambakht yeh aankhen,
Kyunki dil se jyada kasoor inka hota hai.


Na muskurane ko dil karta hai,
Na aanshu bahane ko dil karta hai,
Kya kahen jab aapki yaad aati hai,
Aap ke paas aane ko dil karta hai.


Bandagi hai khuda ki,
Khuda ka hai noor,
Heeron mein yeh heera hai,
Nooron mein kohinoor,
Kitno ko katl kiya isne,
Kitno ko kiya majboor,
Dilwlaon ka hai aasra,
Jab voh hote hain door ,
Judai mein dilbar ki,
Yeh ban jaati hai nasoor..


Kisi ek se karo pyar itna ki kisi aur se pyar karne ki gunjaish na rahe,
Wo muskurade apko dekhkar ek baar to zindagi se phir koi khwaish na rahe!!!


Dooriya bahut hai par itna samajh lo,
Paas reh kar bhi koi rishta khas nahi hota,
Tum dil k paas itne ho,
Ki duriyon ka ehsaas nahi hota..


Mehfil me na sahi tanhai me to yaad karoge,
Kabhi to us khuda se fariyaad karoge,
Na mila hai na milega mere jaisa dost,
Kabhi to is baat par naaaz karoge.


Najar se najar ka jab ikrar hota hai,
Har mod par tab kisi ka intejar hota hai,
Hai aakhen roti aur zakham haste hai,
Isi ka nam to pyaar hota hai.


Waqt to hume bhula chuka hai,
Mukaddar bhi na bhula de,
Pyar hum isliye nahi karte kyu ki,
Darte hai koi fir se na rulade.


Badalo k darmiya kuch aisi sajish hui,
Mera ghar miiti ka tha mere hi ghar baarish hui,
Falak ko b zid ha bijiya girane ki,
Humne b zid hai waha aashiyan banane ki..


Palkhon ke kinare humne bhigoye hi nahi,
Wo kehte hai hum roye hi nahi,
Wo puchte hai khwabo me kise dekhte ho,
Aur hum unki yaad me soye hi nahi...


Koi gila na koi shikwa rahe aapse,
Ye arzoo hai 1 silsila bana rahe aapse,
Bas 1 baat ki umeed hai aap se,
Khafa na hona agar hum khafa rahe aapse...


Ehsaas bahut hoga jab chod k jayenge,
Royenge baut magar aasu nahi aayenge,
Jab saath na de koi aapka,
To aawaz hume dena,
Aasman par bhi honge to lautke aayenge.
Ehsaas bahut hoga jab chod k jayenge,
Royenge baut magar aasu nahi aayenge,
Jab saath na de koi aapka,
To aawaz hume dena,
Aasman par bhi honge to lautke aayenge.


Ho sakta hai usne anjane me hame rula diya ho,
Usne duniya k kehne par hume bhula diya,
Hum to vaise bhi akele the,
Kya hua! agar kisi ne ehsaas dila diya ho.


Aakho me armaan diya karte hai,
Hum sabki neend chura liya karte hai,
Ab se jab jab aapki palke jhapkegi,
Samjh lena tab tab hum aapko yaad kiya karte hai.


Raat kya dhali sitare chale gaye,
Gairo se kya gila jab apne chale gaye,
Jeet to sakte the ishq ki baazi hum zarur,
Par unko pane ki chaahat mein haarte chale gaye.


Sajte dil me tarane bahut hai,
Zindagi jeene k bahane bahut hai,
Aap sada muskurate rahe,
Aapki muskurat k deewane bahut hai.


Bikhar gaye jo moti,
Hum unhe piro na sake.
Teri yaad me sari raat hum so na sake.
Behhna jaye kahi aasuo me tasvir,
Ye sochkar hum kabhi ro na sake.


Aisa nahi ki aapke yad aati nahi,
Khata sirf itni hai ki hum batate nahi.
Dosti aapki anmol hai humare liye,
Samjhte ho aap isliye hum jatate nahi.